शनिवार, 9 अप्रैल 2011

sapne me neta

kal raat sapna ek dekha
bana hua hu mai bada neta
mili ek chamchamaati kaar
pichhe mere bhid apaar

saath paar hone pr bhi
 lga dhudhne kaliyo ka pyar
dilo dimaag me mach gayi halchal
pahnane ke liy satta ka haar

socha chlo kai pusto ka
akele beda paar karenge
marte hai to mare deshvaashi
apni jeb noto se bhrenge

bibi ko bhi pahna skenge
ab hiro ka haar
umar bhar to tarash gaya mai
shyad ab dikhla de pyar

कोई टिप्पणी नहीं: