सोमवार, 11 अप्रैल 2011

AAJ KA DAUR

band kamaro me hi
simata pada hai jin logoka pura parivaar
vo bhla kya smjhenge
es desh samaaj ka haal

khud me kunthit khud me vaythit
sbka alag alag sansaar
presan haisb apne me
uth n raha hai khud ka bhaar

amaws ka chand ho gaya
aadami aadami ka pyar
pyari nok jhok na hoti
hote ab tikhe takraar

vighatan ke daur me aa gay ham
parivaaro ka haal behaal
taras rhi hai ye dhrti
dekhne ko sachha pyar

sachhi muskane na dikhti
jo thi khusiyo ka aadhar
manav jbse sikh gaya hai
karana swarth bhara vayvahaar

ek ajab sa sansay dikhta
khtm ho gaya visvas
risto me pad rahi darare
tut rahi logo ki aas

bhautik vikash ki sidhiyo pr
jitna chadh raha hai maanav
khtm ho rahi maanavta
badh rahe aganit daanav

hai samay ka takaja yahi
ham thoda sa vichaar kare
khud ki khusi se ho eatar
dujo se bhi pyar kare

sayad tab ho jaye dhara se
dukho ka samul naash
swarg sa mahkane lage
har ek maanav ka aaavash 

कोई टिप्पणी नहीं: