शनिवार, 4 जून 2011

'KUCH YADEIN"

wo apni aankho se
hriday ke bhav vyakt kar gayi
jeevan ke kuch hisso ko
khushiyo se wo bhar gayi

par hame kya pata
un aankho ke bhav bemani hogi
un bhavo ki apni
alag-alag kahani hogi

hriday ke komal tantuo ko chhukar
unki swapnil yaado ko bunkar
yaad kiya unko maine
aankho me aansu bhar kar

par in aansuo ka matlab hi kya?
jiski taraf kisi ne na dekha
de gayi wo mere hriday ko
dhire se ik halka dhokha

chha gaya jeevan me mere
dukho ka ek athah badal
uske is tarah chale jane par
hriday toot gaya mera chatak kar

jaan gaya mai un prem ke
jhuthe vaado ko
maine socha itni jaldi
kaise bhool gayi meri yaado ko

unse door hone par hriday me
dukh ki jwala jalti rahi
unse firse milne ko
ichhayen machalti rahi

ab door ho gayi mujhse
mere hriday ko dukha kar
uske gam ne bana diya
mujhko kaanta sukha kar

hum ab bhi apne mann me
unke bhale ki dua karte hain
prem me shayad sabko
yun hi dukh milte hain.