शुक्रवार, 29 जुलाई 2011

bade beaabaru hokar

apane hi kunche se vo nikale
bade beaabaru hokar
sar uthaaye ghum rahe hai
apani hi izzat khokar

moam lagi munchhe unaki
ab bhi
shan se ethlaati hai
lakh gaaliyo ke baad bhi
aankhe unki
kuchh hasti sharmaati hai

aam aadami ke haq ka khana
khate hai bade sauk se
haath ferate badi tondo par
lete dakaar mauj se

en kuncho se niklne vaalo ki
fauj kuchh aisi badhi
janata hatprabh rahi dekhti
yu hi dharti par khadi khadi

dig diganatar me enka
jaal faila es kadar
har chhoti badi machhli
esame fasti aayi najar

yaha badi machhliya,
chhoti ko nahi khaati
mil ke baanti hai sab kuchh
aur hamesha muskuraati

puchhne par aam jan ka haal
aana baad me
kahte hai ye rokar
apane hi kunche se vo nikale
bade beaabaru hokar

कोई टिप्पणी नहीं: