गुरुवार, 14 अप्रैल 2011

NAARI SHAKTI

badal skti ho tum dhara ko
bas ek hunkaar se
bichh sakti hai kadmo me saflta
tumhare ek pukaar se

har aadami banta hai aaadmi
keval tumhare pyar se
dur kar deti ho har gam
mamta ke hathiyaar se

prem daya ki murat ho
tum ho komal man ki swamini
safl bnati purus ka jivan
bn maa ya ardhangini

samay aa gaya hai aisa ki
krna hoga khud pe visvaas
dur ho ske jivan ke gam
fail ske dhara par prakash

swatantrt pad

chhitij par ugane ki har kimat chukaunga mai
ek din aisa bhi aayega jb duniya me chha jaunga mai
duniya me chha jaunga mai chahu aur meri baat hogi
es jahan ki sari khusiya ek din mere sath hongi
apni khud ki kismat khud hi banaaunga mai
ek din aisa bhi aayega jb duniya me chha jaunga mai

2
kuchal diya khwabo ko apne
dene ko unko khusiyo ki saugaat
laakh chahenge jamaane vale
pr ab juba pe na aayegi dil ki baat

lab khamosh rhenge
na aankhe dikhegi kabhi nam
muskuraate huy sahenge akele
mile hai jo mujhko gam

mna lenge hm dil ko apne n
dekhenge hm phir sapne
gair kaha tk dete saath
jb rista n nibha ske apne 
3

सोमवार, 11 अप्रैल 2011

AAJ KA DAUR

band kamaro me hi
simata pada hai jin logoka pura parivaar
vo bhla kya smjhenge
es desh samaaj ka haal

khud me kunthit khud me vaythit
sbka alag alag sansaar
presan haisb apne me
uth n raha hai khud ka bhaar

amaws ka chand ho gaya
aadami aadami ka pyar
pyari nok jhok na hoti
hote ab tikhe takraar

vighatan ke daur me aa gay ham
parivaaro ka haal behaal
taras rhi hai ye dhrti
dekhne ko sachha pyar

sachhi muskane na dikhti
jo thi khusiyo ka aadhar
manav jbse sikh gaya hai
karana swarth bhara vayvahaar

ek ajab sa sansay dikhta
khtm ho gaya visvas
risto me pad rahi darare
tut rahi logo ki aas

bhautik vikash ki sidhiyo pr
jitna chadh raha hai maanav
khtm ho rahi maanavta
badh rahe aganit daanav

hai samay ka takaja yahi
ham thoda sa vichaar kare
khud ki khusi se ho eatar
dujo se bhi pyar kare

sayad tab ho jaye dhara se
dukho ka samul naash
swarg sa mahkane lage
har ek maanav ka aaavash 

शनिवार, 9 अप्रैल 2011

prem

prem jbse paane ka naam ho gaya
hm logo ki karni se badnaam ho gaya
vikreet hua jbse eska rup
maanav man bhi presaan ho gaya

vo tyag ki baate
 bita hua sunhara kal
sapno ki baate ho gayi
jabse pyar me aaya chhal

bhul gaye ham us radha ko
jo shyam ki deewani thi
virahaanal me jalana hi
jiski apni kahaani thi


ab kyu koi meera n milati
jo shyam darash ko pyasi thi
the sabhi sansaar ke sukh,phir bhi
man me bhari udaashi thi

prem bas hokar hi
meera ne piya vish ka pyala
duba diya khud ko usne
jab mila shyam rash ka haala

par aaj sb ye baate
swpan sarikhi lagti hai
man me khatm ho gaya hai prem
dilo me udaashi bahti hai 

ek satya

khlne ki chah
rakhne vaale pusp ki
pankhudiyo ko
vidhna hoga

nikal sake sugandh
jag me
par khud to
dukh sahana hi hoga

bina vidhe kya kabhi
koi pusp khila bhi hai
dard bina sahe kisi ko
kya kabhi kuchh mila bhi hai..

sapne me neta

kal raat sapna ek dekha
bana hua hu mai bada neta
mili ek chamchamaati kaar
pichhe mere bhid apaar

saath paar hone pr bhi
 lga dhudhne kaliyo ka pyar
dilo dimaag me mach gayi halchal
pahnane ke liy satta ka haar

socha chlo kai pusto ka
akele beda paar karenge
marte hai to mare deshvaashi
apni jeb noto se bhrenge

bibi ko bhi pahna skenge
ab hiro ka haar
umar bhar to tarash gaya mai
shyad ab dikhla de pyar