sakhi priya ki chhavi
mujhe har pal najar aaye
prem virahka davanal
mujhe bada hi tadpaaye
shaam ki tanhaai me
jb priyavar a saath na ho
tab lage mujhe aisa
kuchh bhi mere haath na ho
laakh samjhaati rahati
hriday ko mai
itanabhi adhir na
ho tu
par kaha vo meri baat
manane ko taiyar ho
yah to hardam yahi mchahe
priyatam hardam saath me ho
ab tumhi bataao
eas dasha me
jeevan apana bitaau kaise
priytam mere saath nahi hai
bhala phir muskurau kaise
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें