aaj ke sabhya samaaj me
dekha jaa sakta hai
garibo ko rote huye
amiro ko sote huye
netaao ki kutil muskaan
yvaao ki ek
alag pahchaan
swarh bhara dhaarmik tufaan
naitikta ka hota apmaan
kaagajo me mahilaao ka sammaman
yatharth me hota apmaan
naye vikaas ki terhi
chaal
aadhi aabadi ko
hota behaal
kaale krishkaay rote ladke
kandho par bojho ko dhote huye
dekha jaa sakta hai
vo sab kuchh
jo maanav ke dil ko
dahla de
jo ki pathar ko bhi
pighla de
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें