बुधवार, 17 नवंबर 2010

kaun roak sakta hai

kaun rok sakata hai
hone se desh ka banta dhaar
lage huye hai
jb eas kaam me
desh ke hi sutradhaar

neta naukarsaaho ki
jodi hai eas kadar hai bani
ean logo ki giddh dristi
sansaadhano par hai lagi

kaise kate garibo ka pet
noto se bhare amiro ki jeb

nit kuchh aisi hi yojnaaye
manoyog se ban rahi
tabhi to aaj
amir garib me than rahi

kahi gir rahe bom
kahi banduke chal rahi
manavata aaj ke parivesh me
dhu dhu kar jal rahi

naitikta ki baat n bachi
garibo ke chulhe ki
aag n bachi
aub bhala kya hoga hamara
jub kisi ki naak na bachi

कोई टिप्पणी नहीं: