मंगलवार, 31 मई 2011

ek chitra

ek din hokar shantchiit
mai baitha khichne kuchh chitra
par mai hoi gaya nirupaay
man me n ban ska koi sundar chitra

aaj ke es vatavaran me
shayd hi koi sundar chitra dikhe
esi karan man ke bhav ho gyae kuchh fike

sundar chitra ke liye man me
nar naari,prkriti aur n jaane kitne
uth huy khade
par aaj enki dasha dekh man me
dukh ke asim bhav bhre

prkriti kimsundrta ko
maanav prgati ne vinast kiya
saath hi hriday ke komal bhavo ko
n jaane kitna kasht diya

chitra bhi naari ki sundrta
ka kaise bane
jab naari ki dasha ko lekr
aaj hai sb anmane

naari ki dayamayi murti ko bisaar
bhog ki vastu bnaaya hmne
ab hmse kisi naari ka sundr chitra
bhla kaise bane

रविवार, 29 मई 2011

ek baat

n jaane kya sujha jo
chal diye ham pyar karne
kisi anjan chehre pr
hm bhi lage marne

                                pahle pahal hui eatni khushi
                                ki hm khud ko bhla diye
                                jine marne ki kai kasme
                                hmne bhi unke saath liye

ek pal bhi n laga
jb tutate se dikhe saare sapne
soch baithe hm ki 
jhuthe hai saare apane

                                       par jo khta ki hai hmne
                                       use aur bhugtega kaun
                                       na niklegi ab dil se aawaj
                                       hm bhi ho gaye hai maun        

रविवार, 22 मई 2011

ratri

ek sunhri raat ka chitra
manav man ko bhaye
sury dubne ke baad hi
raat ki kali ghta chhye

ratri ke samay
jb gramy jeevn ho purn shant
ghar par atishay sukh paaye
khet se lauta kisan

din bhar ki bhag daur me
jb man sarir clant ho jaye
tb ratri ke samay hi
vo thoda sa sukh paaye

raatri ke samay aakash ki dasha
manoram hi rahti hai
aasman me taro ki ek
dhudhli dhara si bahti hai

chand bhi hota pure sabaab pr
premi jan bhi dhya lgate chandni pr
chkor bhi chhkkr kata hai
us anokhe chand ka

nisha syah chadr se
jb dhara dhk si jaye
tb hi es dhra pr
kumudni ka pusp muskurata najar aaye

jhimil sitaro ko dekh dekh kr
maanav man harsaay
chand ke saundry pr man
prsnnta se muskuraay 


रविवार, 15 मई 2011

KUCHH YADE

vo apni aankho se
hriday ke bhav vaykt kr gayi
jevan ke kuchh hisso ko
khusiyo se vo bhar gayi

par hme kya pata
un aankho ke bhav bemaani honge
un bhavo ki bhi apni
alag alag kahani hogi

hriday ke komal tantuo ko chhukar
unke swapnil yado ko bunkar
yaad kiya maine unko
aankho me aansu bhrkar

par en aansuo ka matlab hi kya
jiski taraf kisi ne n dekha
de gayi mere hriday ko
dhire se ek halka dhokha

chha gaya jeevan me mere
dukho ka athaah baadal
uske es tara chle jane pr
hriday tut gaya mera chatakakr

jaan gaya mai
un prem ke jhuthe vaado ko
socha kaise bhul gayi
meri mithi yado ko

unse dur hone pr dil me
dukh ki jwala jlti rahi
unse firse milne ko
echhaye machlti rahi

ab dur ho gayi mujh se
mere hriday ko dukhakr
uske gam ne bana diya
mujhko kanata  sukhakr

ham ab bhi apne man me
unke bhle ki dua karte hai
prem me shyad sbko
yu hi gam mila krte hai

गुरुवार, 14 अप्रैल 2011

NAARI SHAKTI

badal skti ho tum dhara ko
bas ek hunkaar se
bichh sakti hai kadmo me saflta
tumhare ek pukaar se

har aadami banta hai aaadmi
keval tumhare pyar se
dur kar deti ho har gam
mamta ke hathiyaar se

prem daya ki murat ho
tum ho komal man ki swamini
safl bnati purus ka jivan
bn maa ya ardhangini

samay aa gaya hai aisa ki
krna hoga khud pe visvaas
dur ho ske jivan ke gam
fail ske dhara par prakash

swatantrt pad

chhitij par ugane ki har kimat chukaunga mai
ek din aisa bhi aayega jb duniya me chha jaunga mai
duniya me chha jaunga mai chahu aur meri baat hogi
es jahan ki sari khusiya ek din mere sath hongi
apni khud ki kismat khud hi banaaunga mai
ek din aisa bhi aayega jb duniya me chha jaunga mai

2
kuchal diya khwabo ko apne
dene ko unko khusiyo ki saugaat
laakh chahenge jamaane vale
pr ab juba pe na aayegi dil ki baat

lab khamosh rhenge
na aankhe dikhegi kabhi nam
muskuraate huy sahenge akele
mile hai jo mujhko gam

mna lenge hm dil ko apne n
dekhenge hm phir sapne
gair kaha tk dete saath
jb rista n nibha ske apne 
3

सोमवार, 11 अप्रैल 2011

AAJ KA DAUR

band kamaro me hi
simata pada hai jin logoka pura parivaar
vo bhla kya smjhenge
es desh samaaj ka haal

khud me kunthit khud me vaythit
sbka alag alag sansaar
presan haisb apne me
uth n raha hai khud ka bhaar

amaws ka chand ho gaya
aadami aadami ka pyar
pyari nok jhok na hoti
hote ab tikhe takraar

vighatan ke daur me aa gay ham
parivaaro ka haal behaal
taras rhi hai ye dhrti
dekhne ko sachha pyar

sachhi muskane na dikhti
jo thi khusiyo ka aadhar
manav jbse sikh gaya hai
karana swarth bhara vayvahaar

ek ajab sa sansay dikhta
khtm ho gaya visvas
risto me pad rahi darare
tut rahi logo ki aas

bhautik vikash ki sidhiyo pr
jitna chadh raha hai maanav
khtm ho rahi maanavta
badh rahe aganit daanav

hai samay ka takaja yahi
ham thoda sa vichaar kare
khud ki khusi se ho eatar
dujo se bhi pyar kare

sayad tab ho jaye dhara se
dukho ka samul naash
swarg sa mahkane lage
har ek maanav ka aaavash 

शनिवार, 9 अप्रैल 2011

prem

prem jbse paane ka naam ho gaya
hm logo ki karni se badnaam ho gaya
vikreet hua jbse eska rup
maanav man bhi presaan ho gaya

vo tyag ki baate
 bita hua sunhara kal
sapno ki baate ho gayi
jabse pyar me aaya chhal

bhul gaye ham us radha ko
jo shyam ki deewani thi
virahaanal me jalana hi
jiski apni kahaani thi


ab kyu koi meera n milati
jo shyam darash ko pyasi thi
the sabhi sansaar ke sukh,phir bhi
man me bhari udaashi thi

prem bas hokar hi
meera ne piya vish ka pyala
duba diya khud ko usne
jab mila shyam rash ka haala

par aaj sb ye baate
swpan sarikhi lagti hai
man me khatm ho gaya hai prem
dilo me udaashi bahti hai 

ek satya

khlne ki chah
rakhne vaale pusp ki
pankhudiyo ko
vidhna hoga

nikal sake sugandh
jag me
par khud to
dukh sahana hi hoga

bina vidhe kya kabhi
koi pusp khila bhi hai
dard bina sahe kisi ko
kya kabhi kuchh mila bhi hai..

sapne me neta

kal raat sapna ek dekha
bana hua hu mai bada neta
mili ek chamchamaati kaar
pichhe mere bhid apaar

saath paar hone pr bhi
 lga dhudhne kaliyo ka pyar
dilo dimaag me mach gayi halchal
pahnane ke liy satta ka haar

socha chlo kai pusto ka
akele beda paar karenge
marte hai to mare deshvaashi
apni jeb noto se bhrenge

bibi ko bhi pahna skenge
ab hiro ka haar
umar bhar to tarash gaya mai
shyad ab dikhla de pyar